Assalamualaikum, Friends yeh post boht hi kamal ki hogi koyn k is ma ap logon k liye Parveen Shakir Picture Poetry Collection ha Kamal zabt ko khud bhi to aazmaon gi, main apne haath se us ki dulhan sajaon gi. Haarne mein ek ana ki baat thi, jeet jaane mein khasara aur hai. Kanp uthti hoon main yeh soch ke tanhaai mein, mere chehre pe tera naam na parh le koi. Jis tarah khwab mere ho gaye reza reza, us tarah se na kabhi toot ke bikhre koi. Bohat se log the mehman mere ghar lekin, woh jaanta tha ke hai ahtaam kis ke liye. Main us ki dastaras mein hoon magar woh, mujhe meri raza se maangta hai. Us ne jalti hui peshaani pe jab haath rakha, rooh tak aa gayi taseer maseehaai ki. Ladkiyon ke dukh ajab hote hain, sukh us se ajeeb, hans rahi hain aur kajal bheegta hai saath saath. Main phool chunti rahi aur mujhe khabar na hui, woh shakhs aa ke mere sheher se chala bhi gaya. Bas yeh hua ke us ne takalluf se baat ki, aur hum ne rote rote dupatte bhigo liye. Ab bhi barsaat ki raatoon mein badan toot'ta hai, jaag uthti hain ajab khwahishen angdaai ki. Mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha, hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya.
Raat ke shayad ek baje hain, sota hoga mera chaand. Baat woh aadhi raat ki, raat woh poore chaand ki, chaand bhi ain Chet ka us pe tera jamal bhi. Yun bichharna bhi bohot aasan na tha us se magar, jaate jaate us ka woh mud kar dobara dekhna. Dushmanon ke saath mere dost bhi azaad hain, dekhna hai kheenchta hai mujh pe pehla teer kaun. Ab to us raah se woh shakhs guzarta bhi nahin, ab kis umeed pe darwaze se jhankay koi. Chalne ka hosla nahin, rukna muhaal kar diya, ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya. Hum to samjhe the ke ek zakham hai bhar jaayega, kya khabar thi ke rag-e-jaan mein utar jaayega. Woh mujh ko chhod ke jis aadmi ke paas gaya, barabri ka bhi hota to sabr aa jaata. Woh na aayega humein maaloom tha us shaam bhi, intezaar us ka magar kuch soch kar karte rahe.
Kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi, dil ko khushi ke saath saath hota raha malaal bhi. Kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye, aur kuch meri mitti mein baghawat bhi bohot thi. Meri talab tha ek shakhs, woh jo nahin mila to phir, haath dua se yun gira bhool gaya sawaal bhi. Itne ghane baadal ke peeche, kitna tanha hoga chaand. Kaise keh doon ke mujhe chhod diya hai us ne, baat to sach hai magar baat hai ruswaai ki. Woh kahin bhi gaya, louta to mere paas aaya, bas yahi baat hai achhi mere harjaai ki. Main sach kahoon gi magar phir bhi haar jaaon gi, woh jhoot bolega aur lajawab kar dega. Husn ke samajhne ko umar chahiye jaana, do ghadi ki chahat mein ladkiyan nahin khiltin.
Thank you